Dosto jesay hi hum college ya university se apni graduation kar k free hotay hen to hamari pehli koshish ye hoti hai k jesay tesay kar k koi na koi naukri hasil ki jaye. Kyun k hamein jald se jald khud ko aur apni family ko support karna hota hai.Is k elawa aur bhi boht sary samaji problems hen jin ki waja se rozgaar zroori hota hai.
Lekin dosto in sab problems k bawajood hamein job hasil karnay mein nakami ka samna karna parta hai aur bar bar koshish k bawajood hum aik achi naukri hasil nhi kar patay.
Acha aik aur bhi haqeeqat hai jis ko jan'na hamaray liye khaas tor pe un logon k liye zroori hai jo abhi apni intermediate, graduation ya master ki degree kisi college ya university se continue kar rhay hen.Wo ye hai k takreeban tamam students jab apni degree continue kar rhay hotay hen to har kisi k ye khawab hotay hen k jesay hi hum apni degree complete krein gy to hamein foran hi aik executive level ki job mil jaye gi, jis ki salary 30,000 se 40,000 hogi aur hamari aik shahana life shuru ho jaye gi. Lekin.........
Degree complete karnay k bad jab jobs k liye apply karna shuru kartay hen aur jobs hasil nhi kar patay to hamaray sary khawab chakna choor (چکناچور) ho jatay hen aur hum boht ziada mayoos ho jatay hen.
Dosto hamaray mulk k mojooda halaat mein apni dream job hasil karna kisi challenge se kam nhi, lekin phir bhi kuch batein aisi hen jin par amal kar k hum job hasil karnay k process mein aik step aagay barh saktay hen.
Aaiye wo tips dekhtay hen.

Tip # 01: Job Search Karna.
Dosto jab ap apni degree complete kartay hen to apko job ki talash hoti hai. job search karna bhi kafi ehm (اہم) factor hai۔ Universities se pass out honay k bad kafi job seekers ko ye pta hi nhi hota k job dhoondni kesay hai?
Sab se pehly apko ye pta hona chahye k apki degree kis field ki hai aur apka career kahan ban sakta hai. For example agar ap ne B.Com kar lia hai to ap banking sector ya kisi company mein accounts deparment mein apna career bana saktay hen. Agar ap ne BS-IT 4-year kar lia hai to ap IT professional ban saktay hen. Agar ap ne Civil Engineering ki hui hai to construction companies mein as a site engineer ap apply kar saktay ho etc. Apni degree k mutabiq right field mein apni jobs search krein. Agar ap ne Msc. Math ki hui hai aur ap fashion designer ban'na chahtay hen to yaqeenan aisa hona boht hi ziada mushkil hai. Aur apko job milna takreeban impossible hai.
Ab sawaal ye peda hota hai k apni appropriate field find karnay k bad jobs kesay dhoondein?
Aj kal takreeban tamam tar companies ya government departments ki websites par career ka option hota hai jahan par job post ki jati hen. Apni field ki companies ki list banaen aur har kisi ki website par career section mein vacancies talash krein. Ziada tar companies online applications wasool karti hen. Online apply karnay ka option har vacancy k neechay dia gya hota hai jahan par ap fori tor pe apni application submit kar saktay hen.
Is k elawa boht sari aisi websites hen jin par sirf aur sirf jobs hi post hoti hen. In websites par apna account banany k bad ap apni appropriate jobs k liye apni applications submit kar saktay hen.
Doosra tareeka ye hai k tamam National Newspapers k andar aik Job Classified k naam ka page hota hai jahan har haftay new jobs ki ads aati hen. Ziada tar newspapers mein Sunday ko jobs ka page aata hai. In news papers ka b regular mutala krein. Yahan bhi kafi achi jobs milnay k chances hotay hen. Wesay ye kafi purana tareeka hai lekin aj bhi is se bhi acha result milta hai.

Tip # 02: Specific CV Tayar krein.
Kisi bhi job k liye CV aik vital role play karti hai. CV k andar ap ye batatay hen k ap kya hen. Apki qualifications aur skills kya hen.
Abhi kuch arsay mein baki cheezon k tabdeel honay k sath sath CV structure bhi kafi change hwa hai. Pehlay ye hota tha k candidates aik hi general CV tayar kartay thy jis mein career objective, qualification, address waghera daal detay thay aur har jaga yehi CV submit kar detay thay. Lekin aj kal aisa hai k agar apko 10 jaga apply karna hai to apko 10 different CV's tayar karna hongi. Kyun k har company different hoti hai. Apnay employees se expectations different hoti hen. Is liye har company k liye alag se specific CV tayar karna zroori hai.
Ab specific ya different CV ka matlab ye nhi k ap apni qualification change kar dein, kyun k aisa karna to possible bhi nhi hai. Ap har company k mutabiq career objective change kar saktay hen. Apni skills mein changes laa saktay hen.
Yad rakhein! General CV ko koi consider nhi karta. Agar apko specific CV banani nhi aati to kisi senior ya friend ki help le saktay hen.

Tip # 03: Acha Interview dein.
Job hasil karnay k liye interview faisla-kun (Deciding فیصلہ کُن) kirdar adaa karta hai. Agar apka interview acha nhi gya to ye samajh lein job gayi. Job interview kesay pass kartay hen is par mein ne aik article likha huwa hai, read karnay k liye neechay link par click karein.
Link: Job Interview Kesay Pass krein? |Ye Karo
Link: Job Interview Kesay Pass krein? |Ye Karo
Interview denay k liye pehlay hi ghar se tayari kar k jaen taa k interview mein khud ko achi tarah express kar sakein.
Tip # 04: (Bonus Tip) Reference (سفارش) Use karein.
Agar ap k pas boht achi degrees hen, kafi skills bhi aati hen, CV bhi professional bani hui hai, interview waghera bhi baqi tamam candidates se acha ho gya hai lekin phr bhi apko job nhi mili. Bal k ap par kisi aisay candidate ko prefer kia gya hai jis k pas na deegree achi hai, na usay koi skills aati hen aur interview to us ne dia hi nhi lekin phr bhi usay job mil gai hai to ap samajh jaen k us ne sifarish yani reference lagaya hai.
Dosto ye bhi aik haqeeqat hai k reference se bhi job mil jati hai, bal k kafi jaldi aur achi job mil jati hai. Ap baki tips ko follow karnay k elawa ho sakay to kisi siasi ya apni mutalqa field ki sifarish bhi dhoondein.
Good Luck!
No comments:
Post a Comment