]]

Sunday, July 15, 2018

NTS K Test Mein Achay Number Kesy Lein? |Ye Karo

Assalam-o-Alaikum!

Dosto aj kal government aur private idaron ki tkreebn tmam jobs k liye written test lia jata hai. Jo candidates is written test mein passing marks le letay hen to unhein further process k liye consider kia jata hai. Aj se kuch arsa pehly jo mehkma jobs announce karta tha wo khud written test conduct krta tha aur test mein pass hony waly candidates ko mazeed process k liye consider kia jata tha. Lekin aj kal takreeban tamam government aur private idaray (ادارے) aur universities written test kisi Testing Service k zariye conduct krati hen. Ziada tar test NTS (National Testing Service) k zariye conduct kraye jaty hen.
Is post mein hum seekhen gy k NTS k test mein achay marks leny k liye kin kin cheezon ka dhiyan rakhna zruri hai. Aisi kon c Tips hen jin par amal kr k hum NTS k test mein achay number le saktay hen aur phr job hasil krnay k chances brha (بڑھا) saktay hen.

Tip#01: Paper k structure k bary mein maloomat lein.

Har job k liye test ka structure mukhtlif (مختلف) hota hai. Jis job pe ap ne apply kia hai aur uska test dena hai us test ka Paper Structure pta hona zroori hai. Misaal k tor par (مثال کے طور پر):
Test k andar 20% Gramatical Mistakes, 10% Analytical, 20% Reasoning Questions aur 50% History k sawaal hongy. Ye sb apko pta hona zroori hai.
Test ki Tayari karny se pehly test kay pattern kay baray mein mukammal maloomat (معلومات) zroor le lein. Ta k (تاکہ) test ki tayari krny mein aasani ho.
Ye maloomat mutalqa (متعلقہ) test agencies ki websites se li ja skti hen.

Tip#02: Apna previous knowledge update kren.

Kisi bhi NTS k test mein achay number leny k liye apny previous knowledge ko update zroor krein. Apny previous knowledge ko update krny k liye ''Who is who'' aur '' What is what'' waly material ko zroor parhein. Misaal k tor par:
1- Who is Quid e Azam?
2- Who is Liaquat Ali Khan?
3- Who is Waseem Akram
4- What is cell phone?
5- What is CPEC?
Ye material urdu aur english dono mein study krein. Is k elawa Tareekh (تاریخ) ka mutala bhi lazmi krein. Kyun k tareekh k bhi fafi sawaal aatay hen. Aur agar History par grip nhi hogi to thora kam faida hoga.

Tip#03: Previous papers ko zroor study kren.

Jo test ap ne dena hai us se pehly bhi is trah k test conduct kiye ja chukay hen. Ap ne previous tests ko collect kr k inhein study krna hai. Inko study krny se boht sary concept clear ho jaen gy aur ap mentally tor pe test deny kliye bhi tayar ho jaen gy. Previous papers NTS ki website ya doosri kuch websites wghera available hoty hen. Ya phir ye ap k shehr k book centers par bhi hard copy mein available hoty hen. Kisi bhi jaga se inko hasil kar k study kia ja skta hai.

Tip#04: Agar kafi time ho to test ki book purchase kren warna nhi.

Jab bhi kisi job k liye koi test announce kia jata hai to foran hi mukhtalif publishers ki janib se special us test ki tayari k liye books publish ho kar market mein aa jati hen.
Mera mashwra ye hai k agar test ki date mein kafi time para hai to in books ko study krny mein koi masla ni, lekin in par ziada dependent ni hona, ap ne test k structure k mutabiq relevant material zroor study krna hai.
Aur agar test ki date kam hai to in books ko study na karen to behtar hoga. Kyun k in k andar boht ziada aur kafi irrelevant material dia jata hai. Jab ap in mein se koi book khareedtay (خریدتے) hen to itni moti book dekh kar hosla wesy hi toot jata hai aur phr ap test ki tayari bilkul bhi nhi kar patay.
aisi condition mein book na khareedein bal k previous papers aur doosra relevant material study krein to achay marks leny ki taraf qadam brhaya ja sakta hai.

Tip # 05: Neend poori krein.

Jis date ko test ho us se aik rat pehly koshish kren k jaldi so jaen aur subha ko jaldi jag jaen ta k subha test deny k liye mind fresh ho.
Paper attempt karty waqt jo sawaal 100% sure hon pehly un ko krtay jaen. Us k bad baki waly sawal attempt kren.

Conclusion:

Dosto hamein umeed hai k in tips par amal kr ap kisi bhi test mein achay marks le saktay hen aur job k further process k liye qualify kar saktay hen.



Best of Luck!!

No comments:

Post a Comment