Assalam-o-Alaikum!
Dosto hum sab jantay hen k kisi bhi sarkari ya private job par apply krnay k bad pehly written test lia jata hai. Kuch private jobs aisi bhi hoti hen jahan direct interview lia jata hai. Jab k ziada tar jobs mein written test pehly lia jata hai. Khair jo candidates written test pass kar letay hen to unhein Interview ki call aati hai. Aur muqar'ra (مقررہ) date par tamam candidates se interview conduct kia jata hai. Job hasil krnay ka tamam tar daromadar (دارومدار) interview par hota hai. Jo umeedwar (امیدوار) acha interview detay hen un k job hasil krnay k ziada chances hotay hen.
Interview ki ehmiat (اہمیت) k pesh-e-nazar is post mein hum seekhein gy k aik acha interview denay k liye kin baton ka dhiyan rakhna zroori hota hai. Private aur government jobs k liye interview ki tayari ki tips takreeban aik jesi hen.
Aaiye dosto hum seekhtay hen k job hasil krnay k liye kon c aisi tips hen jin ko follow kar k hum apni job hasil kar saktay hen.
Tip # 01: Company Kay Baray Mein Mukammal Maloomat Hasil Krein.
Dosto jab koi company wajood mein aati hai,jahan uska head office banta hai, jo products ya services wo offer karti hai, in sab maloomat ko company profile kehtay hen. Jis mein ye hota hai k:
1- Company kab bani?
2- Kis category ki hai?
3- Head Office kahan hai?
4- Kya services provide krti hai?
5- Kya kamyabian hasil ki hen?
6- Future mein ye company k taraqqi krnay k kitny chances hen.
Waghera waghera (وغیرہ وغیرہ).
Ap ne jis private idaray ya company ki job k liye interview dena hai, us idaray ki profile ko lazmi study krein. Ye profile company ki website se hasil ki ja sakti hai. Interview k andar ye sawaal lazmi poocha jata hai k ''What do you know about company?''. Kyun k interviewer ye jan'na chahta hai k jo candidate hamari company mein job krna chahta h usay company k baray mein kitna knowledge hai.
Tip # 02: Interview k Common Sawal Tayar Krein.
Kisi bhi sector ki job k liye jab interview kia jata hai to har interview mein kuch common sawaal poochay jatay hen. Misaal k tor par:
Q: Introduce yourself (Apna ta'ruf karaen).
Q:Why should the company exactly hire you? (Company sirf ap ko hi job q de).
Q:Describe your methods of overcoming challenges at work?
(Aap job k doran kisi bhi challenge se kesay nimtein (نمٹیں) gy)۔
Is tarah k har interview mein poochay janay walay sawaalon k jawabat tayar krnay hen. In k elawa company ki profile k mutabiq kuch aur sawaalon ki bhi achi tarah practice karein ta k interview mein kisi qism ki preshani ka samna na ho.
Tip # 03: Apni Kamzor Aur taqatwar Sides K Baray Mein Btaen.
Aik sawaal jo takreeban har private company interview mein poocha jata hai k ''Tell about your weak and strong sides?''. Iska matlab ye hai aisi kon c skills ya tasks hen jin ko aap betreen tareeky se kr sktay hen. Misaal k tor par:-
1- Ap powerpoint ki slides boht achi bana sktay hen.
2- Ap kisi project ki presentation achi de saktay hen.
3- Ap koi event achi tarah organise kar saktay hen.
Agar ap in sab cheezon mein expert hen to interviewer ko in sab cheezon k baray mein btaen.
Isi k sath kuch fields ya skills aisi hoti hen jin ko ap achi tarah perform nhi kar patay. Misaal k tor pe:-
1- Apko time management nhi aati.
2- Apki communication skills weak hen.
3- Kisi project par kam krtay huwe ap khud ko motivate nhi rakh patay.
Ye kuch aisi fields hen jin mein apko mushkil pesh aati hai. Agar ap in k baray mein interviewer ko btaen gy to definitely apko appreciate kry ga.
*Interview par janay se pehlay aik kaghaz par apni strong aur weak sides ki list zroor bana lein ta k ye ap k mind mein achi tarah beth jaen aur interview detay huwe apko preshani ka samna na karna paray.
Tip # 04: Tamam Zroori Documents Apny Sath Rakhein.
Jab bhi ap kisi jaga interview denay jaen to apny tamam original documents apny sath rakhein. Q k interview k doran kisi bhi waqt apki koi bhi certificate talab ki ja sakti hai. Koi professional certificate jo ap ne apni CV mein mention kia hai wo dekhanay ko kaha ja sakta hai.
Jo CV ap ne company k HR department mein jama karai hai uski aik copy apny pas lazmi rakhein. Q k kabhi kabhar aisa hota hai apki CV bhi poochi jati hai.
Tip # 5: Apni CV Kay Mutabiq Tayari Karein.
Dosto ye important point hai. Jo CV ap ne HR mein jama karai hai us ko achi tarah parh kar jaen. Apko yad hona chahye k ap ne apni CV mein kya kya mention kia hai. Aisa bhi hota hai k Interviewer ap se CV mein se sawaal karta hai to apko yad hi nhi hota k ye bhi ap ne CV mein likha tha. Jo jo skills ap ne apni CV mein mention ki hen un sab k baray mein apko achi tarah knowledge hona chahye. Interviewer in k baray mein lazmi sawaal kartay hen.
Q k aksar aisa hota h k candidate CV mein aisi skills mention kartay hen jin k baray mein unhein ziada knowledge nhi hota. To interview krnay wala jab is k baray mein poochta hai to wo koi jawab nhi de patay. Jis se apka ye impression jata hai k apki CV fake hai aur apko foran interview k kamray se bahar bhaij dia jata hai.
Tip # 06: Achi Dressing Kar k Jaen.
Dosto private jobs k interview mein dressing boht hi ziada matter karti hai. Is se pta chalta hai k ap kitnay professional hen. Agar dressing achi ho to apka confidence bhi double ho jata hai aur interviewer par bh acha impression parta hai.
Dressing bhi season k hisaab se honi chahye.Shadeed garmiyon (گرمیوں) mein Two-Piece pehn k jaen to is se acha impression ni parta. Garmiyon mein pent-shirt aur agar is k sath tie bhi laga lein to behtar hoga. Sardiyon (سردیوں) mein dress k ooper moti jacket pehn'na bhi acha nhi hota. Bal k is k bajaye 2-piece pehn lia jaye to acha rahay ga.
Conclusion:
Dosto ye aisi simple aur effective tips hen jin ko apply kar k ap yaqeenan apna interview pass kar sktay hen aur apni dream job hasil kar saktay hen.
Best of Luck!
No comments:
Post a Comment