]]

Sunday, September 9, 2018

Job Kay Doraan Khud Ko Motivate Kesay Rakhein? | Ye Karo

Assalam-o-Alaikum!
Dosto jinay log bhi aj k time mein job kar rhay hen ya koi aur kam kar rhay hen un mein se 99% log apni job ya apnay kam se se khush nhi hen. Job un ko bojh mehsoos hoti hai. Har waqt ye shikayat krtay nazar aatay hen k itni mushkil job mujhe hi q mili? Mein is dunia mein sb se ziada tang hoon, kitni gandi job hai ye waghera waghera. Halan k wo ye bhi jantay hen k ye mushkil job unhein kitni mushkil se mili hai.
Aj is post mein hum ye janein gy k job kartay huwy ya koi business kartay huwy hum khud ko motivate kesay rakh saktay hen? Yani k khud ko kam kartay huwy khush kesay rakhtay hen?
How to get motivated on work?

01 Daily Goal Set Karein:

Hum jo bhi job kartay hen, rozana jb job par pohnchtay hen to jatay hi baghair kuch sochay apna kam shuru kar detay hen. Hamaray zehn mein koi task nhi hota k aj hum ne itna kam krna hai ya aj ka kam krnay k bad hamari organization ya job par kya positive asraat hongay. Jis ki waja se hum yaksaniat ka shikar ho jatay hen aur apnay kam se bore ho jatay hen.
Is soorat e haal se bachnay ka tarika ye hai k daily basis par apnay chotay chotay goal set karein aur in goals ko hasil karnay k liye apni pusri koshish karein. Is ka result ye hoga k apnay task ya goal ko achieve kartay huwy ap ko boriat ka ehsaas nhi hoga aur job achi lagnay lagay gi.

02 Focus Bana k Rakhein:

Kam kartay huwy aksar hamein kisi ki call a jati hai ya kisi aur waja se hamara kam se dhiyan hatt jata hai, jb dobara apna kam start krtay hen to hamein apna dhiyan ya focus bananay mein kafi time lagta hai. Jis ki wja se boring ki kaifiyat peda hoti hai.
Koshish karein k jb ap apnay kam mein busy hon to kam se kam disturbance ho. Lekin aisa haqeeqat mein kam hi mumkin hota hai. To ap khud ko focused rakhnay k tareeky find karein aur kuch motivational material b dekhein ya parhein.

03 Motivational Quotes Study Karein:

Pichlay 2, 3 saalon ki research se ye bat sabit hui hai k motivational qoutes parhnay se bhi kisi insan ka motivational level kafi high rehta hai aur wo apnay kam ya job se bore nhi hota bal k har time motivate rehta hai. Ye quotes apko apnay goal ko achieve karnay mein madad deti hen Is liye to aj kal social media yani Facebook, Instagram, Twitter waghaira par motivational quotes kafi tadad mein post hoti hen.

04 Khud Se Best Performance Ki Commitment Karein:

Agar ap hamesha apna best denay ki koshish kartay ho to kabhi bore nhi hotay. Bal k aisa kartay hwy apka motivational level kafi high hota hai. Agar ap apni job ya kam mein apni 100% effort lagatay ho to apko aik khushgawar sakoon ka ehsaas hoga. Is liye daily ap job par janay se pehlay ye commitment kar k jayen k result jo bhi ho but mein ne apna 100% dena hai.
05 Khud Ko Mentally Prepare Karein:
Ho sakta hai ap koi aisi job kar rahay hon jo ap nhi karna chahtay to aisi situation mein motivated ho k kam karna kafi mushkil hota hai. Har time insan tension mein hi rehta hai. Ap apnay mind ko ye btaen k jesay hi apni pasand ki koi job mili to yahan se chhor jaon ga lekin tab tak mein ne yahan sincere ho k kam karna hai aur apni best performance sabit karni hai. Is se apko kam karnay ki motivation milay gi.

Dosto mujhe umeed hai k is post se ap ne aik aadhi bat zroor sekhi hogi. 
Allah Pak ap k liye aasanian peda farmaye! Ameen
Good Luck!



Saturday, August 4, 2018

Naukri (Job) Kesay hasil ki jaye? |Ye Karo

Assalam-o-Alaikum!
Dosto jesay hi hum college ya university se apni graduation kar k free hotay hen to hamari pehli koshish ye hoti hai k jesay tesay kar k koi na koi naukri hasil ki jaye. Kyun k hamein jald se jald khud ko aur apni family ko support karna hota hai.Is k elawa aur bhi boht sary samaji problems hen jin ki waja se rozgaar zroori hota hai.
Lekin dosto in sab problems k bawajood hamein job hasil karnay mein nakami ka samna karna parta hai aur bar bar koshish k bawajood hum aik achi naukri hasil nhi kar patay.
Acha aik aur bhi haqeeqat hai jis ko jan'na hamaray liye khaas tor pe un logon k liye zroori hai jo abhi apni intermediate, graduation ya master ki degree kisi college ya university se continue kar rhay hen.Wo ye hai k takreeban tamam students jab apni degree continue kar rhay hotay hen to har kisi k ye khawab hotay hen k jesay hi hum apni degree complete krein gy to hamein foran hi aik executive level ki job mil jaye gi, jis ki salary 30,000 se 40,000 hogi aur hamari aik shahana life shuru ho jaye gi. Lekin.........
How to get job?
Degree complete karnay k bad jab jobs k liye apply karna shuru kartay hen aur jobs hasil nhi kar patay to hamaray sary khawab chakna choor (چکناچور) ho jatay hen aur hum boht ziada mayoos ho jatay hen.
Dosto hamaray mulk k mojooda halaat mein apni dream job hasil karna kisi challenge se kam nhi, lekin phir bhi kuch batein aisi hen jin par amal kar k hum job hasil karnay k process mein aik step aagay barh saktay hen.
Aaiye wo tips dekhtay hen.

Tip # 01: Job Search Karna.

Dosto jab ap apni degree complete kartay hen to apko job ki talash hoti hai. job search karna bhi kafi ehm (اہم) factor hai۔ Universities se pass out honay k bad kafi job seekers ko ye pta hi nhi hota k job dhoondni kesay hai?
Sab se pehly apko ye pta hona chahye k apki degree kis field ki hai aur apka career kahan ban sakta hai. For example agar ap ne B.Com kar lia hai to ap banking sector ya kisi company mein accounts deparment mein apna career bana saktay hen. Agar ap ne BS-IT 4-year kar lia hai to ap IT professional ban saktay hen. Agar ap ne Civil Engineering ki hui hai to construction companies mein as a site engineer ap apply kar saktay ho etc. Apni degree k mutabiq right field mein apni jobs search krein. Agar ap ne Msc. Math ki hui hai aur ap fashion designer ban'na chahtay hen to yaqeenan aisa hona boht hi ziada mushkil hai. Aur apko job milna takreeban impossible hai.
Ab sawaal ye peda hota hai k apni appropriate field find karnay k bad jobs kesay dhoondein?
Aj kal takreeban tamam tar companies ya government departments ki websites par career ka option hota hai jahan par job post ki jati hen. Apni field ki companies ki list banaen aur har kisi ki website par career section mein vacancies talash krein. Ziada tar companies online applications wasool karti hen. Online apply karnay ka option har vacancy k neechay dia gya hota hai jahan par ap fori tor pe apni application submit kar saktay hen.
Is k elawa boht sari aisi websites hen jin par sirf aur sirf jobs hi post hoti hen. In websites par apna account banany k bad ap apni appropriate jobs k liye apni applications submit kar saktay hen. 
Doosra tareeka ye hai k tamam National Newspapers k andar aik Job Classified k naam ka page hota hai jahan har haftay new jobs ki ads aati hen. Ziada tar newspapers mein Sunday ko jobs ka page aata hai. In news papers ka b regular mutala krein. Yahan bhi kafi achi jobs milnay k chances hotay hen. Wesay ye kafi purana tareeka hai lekin aj bhi is se bhi acha result milta hai.

Tip # 02: Specific CV Tayar krein.

Kisi bhi job k liye CV aik vital role play karti hai. CV k andar ap ye batatay hen k ap kya hen. Apki qualifications aur skills kya hen.
Abhi kuch arsay mein baki cheezon k tabdeel honay k sath sath CV structure bhi kafi change hwa hai. Pehlay ye hota tha k candidates aik hi general CV tayar kartay thy jis mein career objective, qualification, address waghera daal detay thay aur har jaga yehi CV submit kar detay thay. Lekin aj kal aisa hai k agar apko 10 jaga apply karna hai to apko 10 different CV's tayar karna hongi. Kyun k har company different hoti hai. Apnay employees se expectations different hoti hen. Is liye har company k liye alag se specific CV tayar karna zroori hai.
Ab specific ya different CV ka matlab ye nhi k ap apni qualification change kar dein, kyun k aisa karna to possible bhi nhi hai. Ap har company k mutabiq career objective change kar saktay hen. Apni skills mein changes laa saktay hen.
Yad rakhein! General CV ko koi consider nhi karta. Agar apko specific CV banani nhi aati to kisi senior ya friend ki help le saktay hen.

Tip # 03: Acha Interview dein.

Job hasil karnay k liye interview faisla-kun (Deciding فیصلہ کُن) kirdar adaa karta hai. Agar apka interview acha nhi gya to ye samajh lein job gayi. Job interview kesay pass kartay hen is par mein ne aik article likha huwa hai, read karnay k liye neechay link par click karein.
Link: Job Interview Kesay Pass krein? |Ye Karo
Interview denay k liye pehlay hi ghar se tayari kar k jaen taa k interview mein khud ko achi tarah express kar sakein.

Tip # 04: (Bonus Tip) Reference (سفارش) Use karein.

Agar ap k pas boht achi degrees hen, kafi skills bhi aati hen, CV bhi professional bani hui hai, interview waghera bhi baqi tamam candidates se acha ho gya hai lekin phr bhi apko job nhi mili. Bal k ap par kisi aisay candidate ko prefer kia gya hai jis k pas na deegree achi hai, na usay koi skills aati hen aur interview to us ne dia hi nhi lekin phr bhi usay job mil gai hai to ap samajh jaen k us ne sifarish yani reference lagaya hai.
Dosto ye bhi aik haqeeqat hai k reference se bhi job mil jati hai, bal k kafi jaldi aur achi job mil jati hai. Ap baki tips ko follow karnay k elawa ho sakay to kisi siasi ya apni mutalqa field ki sifarish bhi dhoondein.

Good Luck! 

Monday, July 30, 2018

Matric (10th) K Baad Kya Karein? |Ye Karo

Assalam-o-Alaikum!
Dosto jesa k hum jantay hen k tamam Boards ne Matric Result 2018 ka ailaan kar dia hai. Jin students k achay marks aaye hen wo khushian mana rahay hen. Isi k sath kuch students aisay bhi hen jo k thoray afsurda (افسردہ) hen kyun k wo Matric mein utny number nhi le sakay jitnay unhon ne ya un k waldain ne expect kiye thy. Chalo khair koi bat nhi. Ab ap k zehn mein sawaal ye peda hota hai k matric k bad kya kia jaye? Kyun k apko ap k bhai behn aur dost waghera keh rhay hongay k ye kar lo wo kar lo. Isi tarah ap k waldain ko bh hazaaron mashwary mil rahay hongay k bachay ko doctor banao, engineer banao ya commerce ki field mein bhaijo waghira waghira. 
What to do after passing matric?
Is post mein hum discuss karein gay k Matric pass karnay k bad Intermediate mein kon kon say subjects hen jo ap parh saktay hen. Matric k baad ki tamaam fields yani Arts, Science, Commerce waghaira ko discuss karein gy.
Chaliye is article ko starts kartay hen.

01- Intermediate of Science (F.Sc.):

Fsc k andar bhi mazeed 2 categories aati hen.
➤ Pre-Engineering (Physics, Chemistry, Math)
➤ Pre-Medical (Physics, Chemistry, Biology)
Agar apka ka shoq hota hai k hum ne Engineer ban'na ban'na hai to un ko Pre-Engineering karni chahye. Is mein Physics aur Chemistry k sath Math parhna hoti hai. Baqi Urdu, Islamiat, Mutala Pakistan aur English compulsory subjects hotay hen.
Isi k sath jo log Doctor ban'na chahtay hen ya medical ki field mein jana chahtay hen un ko FSc. Pre-Medical k sath karna hogi. Is mein Math ki jaga Bio parhtay hen aur baqi compulsory subjects same hotay hen.

02- Intermediate of Computer (ICS):

Matric k bad aik aur option ICS hai. Is k andar bhi 2 combination hotay hen.
➤ ICS (Computer, Math Physics)
➤ ICS (Computer, Math Statistics)
In dono mein se koi bhi combination select kar k ap college mein admission le saktay hen. 

03- Intermediate In Arts (F.A):

➤General Science (Statistics, Math, Economics)
Is k elawa compulsory subjects ye hotay hen.
> Urdu
> English
> Islamiat
> Pak Studies 

04- Intermediate In Commerce (I.Com, D.com):

➤ D.Com ( Principles of Accounting, Principles of Economics, Principales of Commerce, Business Mathematics)
I.Com (Principles of Acounting, Commercial Geography, Computer Studies/ Banking Statistics)

05- Diploma In Associate Engineer (DAE):

Matric k bad aik boht hi ehm option hota hai diploma karnay ka. Ye short term aur long term diplomay hotay hen.
Short Term Diploma mein 6 month ya aik saal duration k diplomay hotay hen jo k TEVTA k kisi bhi vocational college se kiye jatay hen. Har shehr mein TEVTA k teht aik vocational institute hota hai jis k andar ye diplomas hotay hen. Muhktalif fields k andar ye diplomay hotay hen jesa k:-
➤Atuo Electrician
➤Auto Mechanic
➤Beautician
➤Mechanical Operator
➤Domestic Tailoring
➤Auto Cad
➤Electrician
➤Fabric Printing
➤Fashion Designing
➤Generator Operator
➤Generator Repair
➤House Carpenter
➤Plumber
➤Motor Rewinding 
In k elawa aur bhi bot sary courses hen jin mein ap diploma kar saktay hen.

Doosray number per jo diploma ki category hai usko Diploma of Associate Engineer (DAE) kaha jata hai. Ye 3 year ka diploma hota hai. Jo kisi private ya government technical college se kia jata hai. In ki fields ye hen:-
Electrical
Mechanical
Civil
Electronics
Telecommunication
In mein se koi bhi diploma ap kar saktay hen.

Good Luck!


Wednesday, July 25, 2018

Aisi Konsi Skills Hen Jo Har Job K Liye Zroori Hen? |Ye Karo

Assalam-o-Alaikum!
Dosto ye aik haqeeqat hai k hamari youth ki aik boht bari taadad hathon mein achi se achi degrees liye phirti hai. Lekin laakh try k bawajood kahin bhi job nhi milti. Aur kafi sari wajoohat honay k elawa aik waja ye h candidates k pas deegrees to hen lekin skills nhi hen.
Companian (کمپنیاں) aj kal us employee ko prefer karti hen jo degree holder honay k sath sath zroori skills mein bhi expert ho. 
Aaiye hum seekhtay hen k aisi kon c skills hen jo takreeban har qism ki job hasil karnay k liye zroori hen.
Apko job hasil karnay k liye jo skills required hen un ko 2 main categories mein taqseem kia jata hai.
1- Technical Skills ya Specific Skills
2- Non-Technical ya Applied Skills ya General Skills

1st number wali skills kisi khaas job k liye specific ya makhsoos hoti hen. Yani k State Life ki job k liye ye alag hongi. Aik engineer k liye ye alag hongi aur aik IT expert k liye alag hongi.

Jab k 2nd number wali skills aisi skills hen jo kisi khaas job k liye specific nhi hoti. Bal k ye kisi bhi qism ki job hasil karnay k zroori hoti hen. Aaiye dekhtay hen k ye skills kon kon c hen?

01: Communication Skill:

Doosray logon se achi tarah baat karnay ki aur un ki bat achi tarah sun'ny ki salahiat ko kisi bhi job k liye sab se ehm aur zroori samjha jata hai. Isko hum Effective Communication Skill kehtay hen. Is mein verbal aur written dono qism ki communication ati hai. Koi bhi employee jab kisi organization mein manager ki post par kam karta hai to ye zroori hota hai k us k under jo log kam kartay hen wo us ki bat achi tarah samjhein. Jab tak aisa nhi hoga to jo kam un logon ko diye jatay hen wo usay poora nhi kar payen gy. Jis ki waja se organization ki overall performance par asar pary ga. Definitely is sab loss ka zimedaar us manager ko thehraya jaye ga. Aur koi bhi company aisay logon ko hire nhi karti. Is liye agar apki communication skills kamzor hen to isko improve krein.

02: Team Work And Collboration:

Organizations k andar ziada tar projects par aik se ziada log kam kartay hen. Achi performance k liye tamam logon ka apas mein mil jul kar aik team ki tarah kam karna zroori hota hai. Is ko Team Work kehtay hen. Team work and collaboration ka matlab ye hai k ap kisi company mein group ki soorat mein as a team member kitna acha kam kar saktay hen aur baqi team member se baham (باہم) rabta rakh saktay hen. Team work se ye hota hai jo bhi project assign kia jata hai wo time to time complete ho jata hai.
Ye skill bhi seekhni lazmi hai.

03: Problem Solving:

Is technique ka matlab ye hota hai k jab bhi koi masla aata hai to usay hal karnay ki salahiyat honi chahye. Aksar logon ko jab bhi koi problem aati hai to wo sar pakar kar baith jatay hen. Unhein samajh nhi aata k is maslay ka kya solution hoga. Farz kia ap kisi company ki customer service mein job kar rahay hen aur koi customer ap k pas apni complaint submit karwata hai, to apko is qabil hona chahye k ap uski problem ka hal dhoond kar us ko satisfy kar sakein.

04: Self Management:

Self-Management aisi skill ko kehtay hen k tab bhi khud ba khud kaam karein jab hamein koi check karnay wala bhi na ho. Is ko Self-Management kehtay hen.
Kisi project ya task par kam kartay huwy apki khud ba khud ye koshish honi chahye k isko time pe complete karein. Aur agar koi aisa task jo ap k zimmay ni hai lekin wo pending para ho to apko chahye k usko complete karwanay mein apni help pesh karein.

05: Learning:

Ye skill kafi ehmiyat ki hamil hai. Iska matlab ye hai k waqt k sath sath apnay knowledge aur skills ko improve karna chahye.
Misaal k tor par agar koi employee hai jisko Windows XP chalani aati hai, ab k company ne apnay office k tamam computers par Windows 10 install kar di hai. Usay chahye k Windows 10 k baray mein jald se jald apnay knowledge ko improve karay taa k wo bharpoor tareekay se apni salahiaton (صلاحیتوں) ko istmal kar sakay.

06: Microsoft Office:

Ye skills wesy to technical skill mein shumaar hoti hai lekin is skill ka hona bhi takreeban har qism ki job k liye zaroori hai. Ye boht hi basic skill hai jis par har candidate ko maharat honi chahye.
Hum sab jantay hen aj kal har company or idaray ka system computer par shift ho chuka hai. Aur office k andar record rakhnay  k liye ya doosray kamon k liye MS Excel ya MS Word ka use kia jata hai. Is k elawa aksar jaghon par slides bananay k liye MS Powerpoint ka use kia jata hai. In tamam softwares par grip honi chahye.

Best of luck!

Friday, July 20, 2018

Job Interview Kesay Pass Krein? |Ye Karo

Assalam-o-Alaikum!

Dosto hum sab jantay hen k kisi bhi sarkari ya private job par apply krnay k bad pehly written test lia jata hai. Kuch private jobs aisi bhi hoti hen jahan direct interview lia jata hai. Jab k ziada tar jobs mein written test pehly lia jata hai. Khair jo candidates written test pass kar letay hen to unhein Interview ki call aati hai. Aur muqar'ra (مقررہ) date par tamam candidates se interview conduct kia jata hai. Job hasil krnay ka tamam tar daromadar (دارومدار) interview par hota hai. Jo umeedwar (امیدوار) acha interview detay hen un k job hasil krnay k ziada chances hotay hen.

Interview ki ehmiat (اہمیت) k pesh-e-nazar is post mein hum seekhein gy k aik acha interview denay k liye kin baton ka dhiyan rakhna zroori hota hai. Private aur government jobs k liye interview ki tayari ki tips takreeban aik jesi hen. 
Aaiye dosto hum seekhtay hen k job hasil krnay k liye kon c aisi tips hen jin ko follow kar k hum apni job hasil kar saktay hen.

Tip # 01: Company Kay Baray Mein Mukammal Maloomat Hasil Krein.

Dosto jab koi company wajood mein aati hai,jahan uska head office banta hai, jo products ya services wo offer karti hai, in sab maloomat ko company profile kehtay hen. Jis mein ye hota hai k:
1- Company kab bani?
2- Kis category ki hai?
3- Head Office kahan hai?
4- Kya services provide krti hai?
5- Kya kamyabian hasil ki hen?
6- Future mein ye company k taraqqi krnay k kitny chances hen.
Waghera waghera (وغیرہ وغیرہ). 
Ap ne jis private idaray ya company ki job k liye interview dena hai, us idaray ki profile ko lazmi study krein. Ye profile company ki website se hasil ki ja sakti hai. Interview k andar ye sawaal lazmi poocha jata hai k ''What do you know about company?''. Kyun k interviewer ye jan'na chahta hai k jo candidate hamari company mein job krna chahta h usay company k baray mein kitna knowledge hai. 

Tip # 02: Interview k Common Sawal Tayar Krein.

Kisi bhi sector ki job k liye jab interview kia jata hai to har interview mein kuch common sawaal poochay jatay hen. Misaal k tor par:
Q: Introduce yourself (Apna ta'ruf karaen).
Q:Why should the company exactly hire you? (Company sirf ap ko hi job q de).
Q:Describe your methods of overcoming challenges at work?
 (Aap job k doran kisi bhi challenge se kesay nimtein (نمٹیں) gy)۔
Is tarah k har interview mein poochay janay walay sawaalon k jawabat tayar krnay hen. In k elawa company ki profile k mutabiq kuch aur sawaalon ki bhi achi tarah practice karein ta k interview mein kisi qism ki preshani ka samna na ho.

Tip # 03: Apni Kamzor Aur taqatwar Sides K Baray Mein Btaen.

Aik sawaal jo takreeban har private company interview mein poocha jata hai k ''Tell about your weak and strong sides?''. Iska matlab ye hai aisi kon c skills ya tasks hen jin ko aap betreen tareeky se kr sktay hen. Misaal k tor par:-
1- Ap powerpoint ki slides boht achi bana sktay hen.
2- Ap kisi project ki presentation achi de saktay hen.
3- Ap koi event achi tarah organise kar saktay hen.
Agar ap in sab cheezon mein expert hen to interviewer ko in sab cheezon k baray mein btaen.
Isi k sath kuch fields ya skills aisi hoti hen jin ko ap achi tarah perform nhi kar patay. Misaal k tor pe:-
1- Apko time management nhi aati.
2- Apki communication skills weak hen.
3- Kisi project par kam krtay huwe ap khud ko motivate nhi rakh patay.
Ye kuch aisi fields hen jin mein apko mushkil pesh aati hai. Agar ap in k baray mein interviewer ko btaen gy to definitely apko appreciate kry ga.
*Interview par janay se pehlay aik kaghaz par apni strong aur weak sides ki list zroor bana lein ta k ye ap k mind mein achi tarah beth jaen aur interview detay huwe apko preshani ka samna na karna paray.  

Tip # 04: Tamam Zroori Documents Apny Sath Rakhein.

Jab bhi ap kisi jaga interview denay jaen to apny tamam original documents apny sath rakhein. Q k interview k doran kisi bhi waqt apki koi bhi certificate talab ki ja sakti hai. Koi professional certificate jo ap ne apni CV mein mention kia hai wo dekhanay ko kaha ja sakta hai. 
Jo CV ap ne company k HR department mein jama karai hai uski aik copy apny pas lazmi rakhein. Q k kabhi kabhar aisa hota hai apki CV bhi poochi jati hai.

Tip # 5: Apni CV Kay Mutabiq Tayari Karein.

Dosto ye important point hai. Jo CV ap ne HR mein jama karai hai us ko achi tarah parh kar jaen. Apko yad hona chahye k ap ne apni CV mein kya kya mention kia hai. Aisa bhi hota hai k Interviewer ap se CV mein se sawaal karta hai to apko yad hi nhi hota k ye bhi ap ne CV mein likha tha. Jo jo skills ap ne apni CV mein mention ki hen un sab k baray mein apko achi tarah knowledge hona chahye. Interviewer in k baray mein lazmi sawaal kartay hen.
Q k aksar aisa hota h k candidate CV mein aisi skills mention kartay hen jin k baray mein unhein ziada knowledge nhi hota. To interview krnay wala jab is k baray mein poochta hai to wo koi jawab nhi de patay. Jis se apka ye impression jata hai k apki CV fake hai aur apko foran interview k kamray se bahar bhaij dia jata hai.

Tip # 06: Achi Dressing Kar k Jaen.

Dosto private jobs k interview mein dressing boht hi ziada matter karti hai. Is se pta chalta hai k ap kitnay professional hen. Agar dressing achi ho to apka confidence bhi double ho jata hai aur interviewer par bh acha impression parta hai.
Dressing bhi season k hisaab se honi chahye.Shadeed garmiyon (گرمیوں) mein Two-Piece pehn k jaen to is se acha impression ni parta. Garmiyon mein pent-shirt aur agar is k sath tie bhi laga lein to behtar hoga. Sardiyon (سردیوں) mein dress k ooper moti jacket pehn'na bhi acha nhi hota. Bal k is k bajaye 2-piece pehn lia jaye to acha rahay ga.



Conclusion:

Dosto ye aisi simple aur effective tips hen jin ko apply kar k ap yaqeenan apna interview pass kar sktay hen aur apni dream job hasil kar saktay hen.



Best of Luck! 

Sunday, July 15, 2018

NTS K Test Mein Achay Number Kesy Lein? |Ye Karo

Assalam-o-Alaikum!

Dosto aj kal government aur private idaron ki tkreebn tmam jobs k liye written test lia jata hai. Jo candidates is written test mein passing marks le letay hen to unhein further process k liye consider kia jata hai. Aj se kuch arsa pehly jo mehkma jobs announce karta tha wo khud written test conduct krta tha aur test mein pass hony waly candidates ko mazeed process k liye consider kia jata tha. Lekin aj kal takreeban tamam government aur private idaray (ادارے) aur universities written test kisi Testing Service k zariye conduct krati hen. Ziada tar test NTS (National Testing Service) k zariye conduct kraye jaty hen.
Is post mein hum seekhen gy k NTS k test mein achay marks leny k liye kin kin cheezon ka dhiyan rakhna zruri hai. Aisi kon c Tips hen jin par amal kr k hum NTS k test mein achay number le saktay hen aur phr job hasil krnay k chances brha (بڑھا) saktay hen.

Tip#01: Paper k structure k bary mein maloomat lein.

Har job k liye test ka structure mukhtlif (مختلف) hota hai. Jis job pe ap ne apply kia hai aur uska test dena hai us test ka Paper Structure pta hona zroori hai. Misaal k tor par (مثال کے طور پر):
Test k andar 20% Gramatical Mistakes, 10% Analytical, 20% Reasoning Questions aur 50% History k sawaal hongy. Ye sb apko pta hona zroori hai.
Test ki Tayari karny se pehly test kay pattern kay baray mein mukammal maloomat (معلومات) zroor le lein. Ta k (تاکہ) test ki tayari krny mein aasani ho.
Ye maloomat mutalqa (متعلقہ) test agencies ki websites se li ja skti hen.

Tip#02: Apna previous knowledge update kren.

Kisi bhi NTS k test mein achay number leny k liye apny previous knowledge ko update zroor krein. Apny previous knowledge ko update krny k liye ''Who is who'' aur '' What is what'' waly material ko zroor parhein. Misaal k tor par:
1- Who is Quid e Azam?
2- Who is Liaquat Ali Khan?
3- Who is Waseem Akram
4- What is cell phone?
5- What is CPEC?
Ye material urdu aur english dono mein study krein. Is k elawa Tareekh (تاریخ) ka mutala bhi lazmi krein. Kyun k tareekh k bhi fafi sawaal aatay hen. Aur agar History par grip nhi hogi to thora kam faida hoga.

Tip#03: Previous papers ko zroor study kren.

Jo test ap ne dena hai us se pehly bhi is trah k test conduct kiye ja chukay hen. Ap ne previous tests ko collect kr k inhein study krna hai. Inko study krny se boht sary concept clear ho jaen gy aur ap mentally tor pe test deny kliye bhi tayar ho jaen gy. Previous papers NTS ki website ya doosri kuch websites wghera available hoty hen. Ya phir ye ap k shehr k book centers par bhi hard copy mein available hoty hen. Kisi bhi jaga se inko hasil kar k study kia ja skta hai.

Tip#04: Agar kafi time ho to test ki book purchase kren warna nhi.

Jab bhi kisi job k liye koi test announce kia jata hai to foran hi mukhtalif publishers ki janib se special us test ki tayari k liye books publish ho kar market mein aa jati hen.
Mera mashwra ye hai k agar test ki date mein kafi time para hai to in books ko study krny mein koi masla ni, lekin in par ziada dependent ni hona, ap ne test k structure k mutabiq relevant material zroor study krna hai.
Aur agar test ki date kam hai to in books ko study na karen to behtar hoga. Kyun k in k andar boht ziada aur kafi irrelevant material dia jata hai. Jab ap in mein se koi book khareedtay (خریدتے) hen to itni moti book dekh kar hosla wesy hi toot jata hai aur phr ap test ki tayari bilkul bhi nhi kar patay.
aisi condition mein book na khareedein bal k previous papers aur doosra relevant material study krein to achay marks leny ki taraf qadam brhaya ja sakta hai.

Tip # 05: Neend poori krein.

Jis date ko test ho us se aik rat pehly koshish kren k jaldi so jaen aur subha ko jaldi jag jaen ta k subha test deny k liye mind fresh ho.
Paper attempt karty waqt jo sawaal 100% sure hon pehly un ko krtay jaen. Us k bad baki waly sawal attempt kren.

Conclusion:

Dosto hamein umeed hai k in tips par amal kr ap kisi bhi test mein achay marks le saktay hen aur job k further process k liye qualify kar saktay hen.



Best of Luck!!